Rumi Quotes In Urdu @rumiquotesinurdu Channel on Telegram

Rumi Quotes In Urdu

@rumiquotesinurdu


For
Qur'an Shareef Ayat Tarjuma, Hadees Shareef,
Sahaba, Auliya, Sufi, Quotes in Arabic, Urdu, English, Hindi, Turkish etc
Join the channel ❣️

Rumi Quotes In Urdu (Urdu)

آپ کبھی سوچا ہے کہ رومی کی کتب میں ان کی خوبصورت اقوال کو اردو زبان میں پڑھ کر کتنی محسوس کرانے والے ہوتے ہیں؟ تو اب فوراً ہمارے ٹیلیگرام چینل "Rumi Quotes In Urdu" میں شامل ہو جائیں اور رومی کے حکمت انگیز اقوال کا لطف اٹھائیں۔ یہ چینل نہ صرف رومی کے اقوال بلکہ قرآن شریف کی ایات، حدیث شریف، صحابہ، اولیاء، صوفی، اور مختلف زبانوں میں اقوال شامل کرتا ہے۔ اس چینل کی زبانوں میں شامل ہیں: اربک، اردو، انگلش، ہندی، ترکی وغیرہ۔ یہاں آپ ان تمام معنوی ہموار اقوال سے واقف ہوسکتے ہیں۔ شامل ہونے کے لیے ہمارے چینل کو ابھی فالو کریں اور رومی کی حکمت بھری اقوال کی دنیا میں گمنام رہیں۔ براہ کرم ہمارے چینل "rumiquotesinurdu" میں شامل ہونے کے لئے نیچے دیے گئے لنک پر کلک کریں ❣️

Rumi Quotes In Urdu

21 Nov, 09:26


Musalman Allah ﷻ ke banday hain, Allah ﷻ ne unhein izzat di hai. Unki gairat ka taqaza hai ke chahay bhook se dam nikal jaey magar woh lougon ke samnay hath phelatay na phirenge.
✍️ Shahzada-e AlaHazrat, Hujjat-ul Islam, Mufti Muhammad Hamid Raza Khan Qadiri Barakati رحمۃ اللہ علیہ
📚 خطبہ حجة الاسلام

Telegram : Rumi Quotes In Urdu

Rumi Quotes In Urdu

21 Nov, 09:23


Rasool E Pak صلی الله عليه وسلم Ne Farmaya Jab Tum Kisi Mehfil Me Jao To Salam Karo, Aur Jab Wahan Se Uthna Chaho To Bhi Salam Karo.
📚 Abu Dawood 5208

Note: Aksar Logon Ki Adat Hoti Hai Ki Juda Hote WAQT Salam Ki Jagah Khuda Hafiz Ya Allah Hafiz Kehte Hain, Agar Aap Ne Aisa Kaha To Iske Baad Bhi Salam Kijiye Kyun Salam Aate Aur Jate DONO WAQT Rahega.

Telegram : Rumi Quotes In Urdu

Rumi Quotes In Urdu

19 Nov, 14:55


Nabi E Kareem صلی الله عليه وسلم Ne Farmaya BeHayai Jis Chiz Me Bhi Ho use Aibdaar Aur Bad Numa Banati Hai, Aur Haya Jis Chiz Me Bhi Ho Use Khubsurat Aur Khush Numa Banati Hai.
📚 ibn E Majah 4185

Telegram : Rumi Quotes In Urdu

Rumi Quotes In Urdu

16 Nov, 15:51


Jahannam Ki Aag Se Bacho Agar Che Khajoor Ka Eik Tukda Hi SADQAH Kar Ke Ho.
📚 Bukhari 1417

Telegram : Rumi Quotes In Urdu

Rumi Quotes In Urdu

16 Nov, 06:25


Nabi E Kareem صلی الله عليه وسلم Ne Farmaya Log Kisi Mehfil Me Baithen Aur Allah ﷻ Ko Yaad Na Karen Aur Na Apne Nabi Par Durood Padhen To Ye Cheez unke Liye Hasrat O Nadamat (Afsos O Sharm Ki Baat) Ban Sakti Hai, Allah ﷻ Chahe To Unhe Azab De Ya Bakhsh De.
📚 Tirmizi 3380

Note: Agar Majlis Musalmano Ki Ho To Allah ﷻ Ka Zikr Karen Ya Apne Nabi Par Durood Bhejen Ya Deen Sikhen Ya Sikhayen, Warna Bekar Ki Mehfilen Aapke Liye Azab Ka Zarya Ban Sakti Hai.

Telegram : Rumi Quotes In Urdu

Rumi Quotes In Urdu

14 Nov, 06:19


Nabi E Kareem صلی الله عليه وسلم Farmate Hain Sure Baqarah Padha Karo Kyun Ki Uska Hasil Karna Barkat Aur use Chhod Dena Hasrat (Afsos) Hai.
📚 Sahi Muslim 804

Telegram : Rumi Quotes In Urdu

Rumi Quotes In Urdu

14 Nov, 06:14


AMIR E MUAWIYAH رَضِیَ اللّٰهُ عَنْه
Ghaus e Azam رحمۃ اللہ علیہ bhi Fiqh me jinki taqleed karte the, wo Imam Ahmad bin Hanbal رَضِیَ اللّٰهُ عَنْه ke pas ek khat aya jis mei kuch logo ne kaha ke "Hum Amir e Muawiyah رَضِیَ اللّٰهُ عَنْه ko Momino ke Mamu nahi mante", to Imam gazabnak hue aur farmaya ke "Inhe kya aitraz hai? ye log jab tak Touba na kare, in se ta'alluq khatam kar diya jae"

Note: Amir e Muawiyah رَضِیَ اللّٰهُ عَنْه RasoolAllah ﷺ ❣️ ki Zawja Sayyida Um e Habiba رضی اللہ عنہا ke bhai hai, aur Sarkar ﷺ ❣️ ki Biwiya Tamam musalmano ki Maae hai, is rishte se Hazrat Muawiyah رَضِیَ اللّٰهُ عَنْه ko Momino ke Mamu ka maqam mila
📚 Al Sunnah Abu bakr Khallal 1/434

AMIR E MUAWIYAH رَضِیَ اللّٰهُ عَنْه
The Imam who is followed even by the Shaykh Abdul Qadir Jilani رحمۃ اللہ علیہ in Fiqh, Imam Ahmad bin Hanbal رَضِیَ اللّٰهُ عَنْه received a letter saying, 'We do not consider Amir Muawiyah رَضِیَ اللّٰهُ عَنْه to be the maternal uncle of the believers.'
Imam Ahmad رَضِیَ اللّٰهُ عَنْه became very angry and said, 'What objection do they have? Until these people repent, all ties with them should be severed.'

Note: Amir Muawiyah رَضِیَ اللّٰهُ عَنْه is the brother of Sayyida Umm Habibah رضی اللہ عنہا, the wife of the Prophet ﷺ ❣️ And the wives of the Prophet ﷺ ❣️ are the mothers of all believers. Due to this relationship, Sayyiduna Muawiyah رَضِیَ اللّٰهُ عَنْه was given the title of 'uncle of the believers
📚 Al Sunnah Abu bakr Khallal 1/434

Telegram : Rumi Quotes In Urdu

Rumi Quotes In Urdu

10 Nov, 06:18


Rasool E Pak صلی الله عليه وسلم Ne Farmaya Ziyadah Tar Jo Cheez Jannat Me Jaane Ka Sabab Banegi Wo Allah ﷻ Ka Dar Aur Achche AKHLAAQ Hai.
📚 Tirmizi 2004

Telegram : Rumi Quotes In Urdu

Rumi Quotes In Urdu

09 Nov, 20:16


Hazrat Aisha رضی اللہ عنہا Se Riwayat Hai Ki Unho Ne Nabi E Kareem صلی الله عليه وسلم Se Pucha Ki Mai Apne Padosiyon Me Kiske Paas Hadiya (Tohfa) Bhejun, Huzoor ﷺ Ne Farmaya Jiska Darwaza Tumhare Darwaze Se Qareeb Ho
📚 Bukhari 6020

Note: Jab Bhi Koi Achchi Cheez Aap Pakayen Ya Khane Ko Layen To Apne Sunni Padosi Ko Zaroor Yaad Rakhen.

Telegram : Rumi Quotes In Urdu

Rumi Quotes In Urdu

09 Nov, 16:18


Video from 😊

Rumi Quotes In Urdu

08 Nov, 06:03


Hazrat Abu Hurairah رضی اللہ تعالٰی عنہ Se Riwayat Hai Eik Admi Ne Huzoor E Pak صلی الله عليه وسلم Se Arz Kiya Mera Dil Bahot Sakht Hai Huzoor ﷺ Ne Farmaya Yateem Ke Sar Pe Hath Pher Aur Bhooke Ko Khana Khila.
📚 Mishkat 5001

Note: Aaj Jumuah Ka Mubarak Din Hai Khoob Khoob Nafli SADQAH Karen إن شاء الله ﷻ Aapko Iska Bahot Ajro Sawab Hasil Hoga.

Telegram : Rumi Quotes In Urdu

Rumi Quotes In Urdu

07 Nov, 20:15


Nabi E Kareem صلی الله عليه وسلم Ne Farmaya Tum Me Sab Se Behtar Wo Hai Jo AKHLAAQ Me Apni Aurton Ke HAQ Me Sab Se Behtar Ho.
📚 Tirmizi 1162

Telegram : Rumi Quotes In Urdu

Rumi Quotes In Urdu

05 Nov, 19:12


Huzoor صلی الله عليه وسلم Farmate Hain insan Kehta Hai Mera Maal Mera Maal Halanki uska Maal To Wahi Hai Jo usne Kha Kar Khatm Kiya Ya Pahen Kar Purana Kiya Ya SADQAH De Kar Aage Bhej Diya.
📚 Muslim 2958

Note: SADQAH De Kar Aage BHEJNA Yani Qabr Aur Qayamat Me Kaam Aane Wala Amal Hai Ye insan Ki Sab Se Achchi Saving Hai.

Telegram : Rumi Quotes In Urdu

Rumi Quotes In Urdu

05 Nov, 19:11


Rasool E Khuda صلی الله عليه وسلم Ne Farmaya Banda Allah ﷻ Se Sab Se Qareeb Sajde Ki Halat Me Hota Hai, Lihaza (Sajde Me) Kasrat Se Dua Kiya Karo.
📚 Muslim 1083

Telegram : Rumi Quotes In Urdu

Rumi Quotes In Urdu

04 Nov, 15:01


गाज़ा में लोगों को सर्दी की वजह से कंबल की ज़रूरत पड़ रही है
इंशा अल्लाह जल्द ही फिलिस्तीन में कंबल बांटे जाएंगे, जो लोग भी इस मदद में हिस्सा लेना चाहते हैं और अपनी जानिब जितने कंबल देना चाहते हों वो

इस ऊपर QR par भेज दे

⬆️

Rumi Quotes In Urdu

04 Nov, 06:18


Rasool E Pak صلی الله عليه وسلم Ne Farmaya 3 Admiyon Ki Namaz unke Saron Se Eik Balisht Bhi Upar Nahi Jati
1) Aisa imam Jise Log Napasand Karte Hon
2) Wo Aurat Jiski Raat is Haal Me Guzre Ki uska Shohar Usse Naraz Ho
3) Do Aise Bhai Jinho Ne Apas Me Rishta Tod Diya Ho.
📚 Ibne Majah 971

Telegram : Rumi Quotes In Urdu

Rumi Quotes In Urdu

03 Nov, 18:47


Rasool E Pak صلی الله عليه وسلم Ne Farmaya Aasani Paida Karo, Tangi Paida Na Karo, Sukoon Paohchao, Nafraten Na Dilao.
📚 Mishkat 3723

Telegram : Rumi Quotes In Urdu

Rumi Quotes In Urdu

02 Nov, 19:44


Rasool E Pak صلی الله عليه وسلم Ne Irshad Farmaya Sirf 3 Jagho'n Par Jhoot Bolna Jayez O Halal Hai,
1) Admi Apni Biwi Se Baat Kare Taki use Razi Kar Le (Agar Wo Manti Na Ho Naraz Ho To Manane Ke Liye,
2) Jang Me Jhoot Bolna,
3) Do Logon Ke Darmiyan Sulah Karane Ke Liye Jhoot Bolna.
📚 Jame Tirmizi 1939

Note: Jhoot Gunahe Kabirah Aur Haram Hai Lekin Ye 3 Maoqe Aise Hain Agar Yahan Jhoot Bolne Se Kaam Banta Hai To ijazat Hai Lekin Sakht Zarurat Ke Bina Nahi Aur Bar Bar Nahi Sirf Kaam Banne Ki Had Tak Hi.

Telegram : Rumi Quotes In Urdu

Rumi Quotes In Urdu

30 Oct, 20:59


Rasool E Pak صلی اللہ علیہ وسلم Ne Farmaya Eik Musalman Ke Liye Dusre Musalman Ka Maal izzat Aur Khoon Haram Hai, Bande Ke Liye Yahi Burai Kafi Hai Ki Wo Apne Musalman Bhai Ko HAQEER (Neecha) Samjhe.
📚 Abu Dawood 4882

Telegram : Rumi Quotes In Urdu

Rumi Quotes In Urdu

30 Oct, 20:58


Huzoor ﷺ Farmate Hain, Allah ﷻ Farmata Hai, Ibne Adam (Adam Ke Bete) Kharch Kar (Mere Raste Me) Mai Tujh Par Kharch Karuga (Tujhe Deta Rahuga).
📚 Bukhari 5352

Telegram : Rumi Quotes In Urdu

Rumi Quotes In Urdu

30 Oct, 20:57


Nabi E Kareem صلی اللہ تعالیٰ علیہ وسلم Ne Farmaya Allah ﷻ Jiske Sath Khair Aur Bhalai Farmana Chahta Hai Use Taklifon Aur Musibaton Me Mubtela Kar Deta Hai.
📚 Bukhari 5645

Telegram : Rumi Quotes In Urdu

Rumi Quotes In Urdu

28 Oct, 21:27


MASJID KA ADAB
Imam Bukhari رحمۃ اللہ علیہ ne Masjid me ek admi ko dekha ki apni dadhi se ek tinka nikaal kar zameen par phenk diya, Imam ne us tinke ko utha kar apni Aasteen me rakh liya aur jab bahar aye to use phek diya.
Note: Masjid ka jaisa Adab humare Buzurg kiya karte the aaj hum uska 10% bhi nahi karte!
📚 Tarikh Baghdad 2/13

ADAB OF MASJID
Imam Bukhari رحمۃ اللہ علیہ once in Masjid saw a man picked a piece of dust from his beard and threw it on floor. Imam picked it up and kept it in his sleeve and threw it away when He came out.
Note: Today we are not doing Adab of Masjid even 10% of what our Aslaaf used to do!
📚 Tarikh Baghdad 2/13

Telegram : Rumi Quotes In Urdu

Rumi Quotes In Urdu

23 Oct, 20:36


imam Sufiyan As'saori علیہ الرحمہ Farmate Hain Tumhara Dost Aisa Hona Chahiye Jo Tumhe'n Duniya Se Tod Kar Akhirat Se Jod De, Duniyadar Logo Ki Sohbat Se Bacho Jinki Bato'n Ka MAQSAD Sirf Aur Sirf Duniya Kamana Hota Hai, Aise Log Tumahra Deen Aur Tumhara Dil Dono'n Kharab Kar Dalenge.
📚 Hilyatul Awliya V-7, P 82

Telegram : Rumi Quotes In Urdu

Rumi Quotes In Urdu

23 Oct, 20:33


Rasool E Kareem صلی اللہ تعالیٰ علیہ وسلم Ne Irshad Farmaya Jab Tum Me Se Koi Dua Kare To Yun Na Kahe, Aye Allah ﷻ Agar Tu Chahe To Mujhe Bakhsh De, Balki use Yaqeen Aur Raghbat Ke Sath Dua Karni Chahiye, Kyun Ki Kisi Bhi Cheez Ka Dena Allah ﷻ Ke Liye Koi Giraa'n (Bhari Padne Wali Baat) Nahi Hai.
📚 Mishkat 2226

Telegram : Rumi Quotes In Urdu

Rumi Quotes In Urdu

21 Oct, 20:14


NEKI KA RASTA BATANE PAR NEKI KARNE JITNA SAWAB HAI.

Rasool E Pak صلی الله عليه وسلم Irshad Farmate Hain Jo Koi Neki Ki Raah Bataye usko Utna Hi Sawab Hai Jitna Neki Karne Wale Ko.
📚 Sahi Muslim 4899

Note: is Channel Se Logon Ko Jodiye Taki Yahan Se Unki Deeni Tarbiyat Ho Unke iman O AQIDE Ki Hifazat Ho Wo Deen Par Chalen Neki Karen Aur Aapko Bhi Sawab Mile.

Telegram : Rumi Quotes In Urdu

Rumi Quotes In Urdu

21 Oct, 20:12


Rasool E Pak صلی اللہ علیہ وسلم Ne Famaya Jo Log Allah ﷻ Ko Yaad Karte Hain
1) Noorani Farishte Unke Pas Jama Note Hain,
2) Allah ﷻ Ki Rehmat Unpe Saya Karti Hai,
3) Sukoon Aur itmenan Unpe Nazil Hota Hai,
4) Allah ﷻ unka Zikr Farishton Mein Farmata Hai.
📚 Tirmizi 3378

Telegram : Rumi Quotes In Urdu

Rumi Quotes In Urdu

19 Oct, 06:36


Taaleemaat E Ghaus E Aazam

تو اپنے بیوی بچوں، ہمسایوں اور وقت کے بادشاہ کو راضی کرنے میں لگا ہے، جب کہ اللہ کو ناراض کر رہا ہے، حالانکہ اس کی طرف لوٹ کر جانا ہے۔

Tu Apne Biwi Bachchoń, Hamsaayoń (neighbour) Aur Waqt Ke Baadshaah Ko Raazi Karne Me Laga Hai, Jab Ki Allah Ko Naaraaz Kar Raha Hai, Haalaańki (Although) Usi Ki Taraf Laut Kar Jaana Hai.
📚 ملخصاً الفتح الرباني، جلد 1

Telegram : Rumi Quotes In Urdu

Rumi Quotes In Urdu

19 Oct, 06:28


Rasool E Pak صلی الله عليه وسلم Ne Farmaya Tum Me Har Koi Shukr Karne Wala Dil, Zikr Karne Wali Zaban Aur iman Wali Biwi (Parhezgar) Rakhe Jo Uski Akhirat Ke Kamon Me Madad Kare.
📚 Ibne Majah 1856

Telegram : Rumi Quotes In Urdu

Rumi Quotes In Urdu

18 Oct, 06:23


Neki ka hukm dena aur buraee se mana karna mere nazdeek un hazaar abidon ki ibadat se ziyada pasandeeda hai, jo tanhai mein baith kar ibadat karne walay hain.
✍️ Sultan al Awliya, Sayyiduna Ghous al Azam, Sayyid Muhyiddeen Abu Muhammad Abdul Qadir Jilani Hasani Husayni Hanbali رحمۃ اللہ علیہ
📚 الفتح الربانی، 📄 181

Telegram : Rumi Quotes In Urdu

Rumi Quotes In Urdu

18 Oct, 06:19


Rasool E Pak صلی الله عليه وسلم Farmate Hain Qayamat Ke Din Aadmi Apne SADQE Ke Saaye Me Hoga.
📚 Musnad E Ahmad 17333

Note: Qayamat Me Jab Zameen Tambe (Copper) Ki Hogi Aur Suraj Sar Par Hoga Us WAQT Aapka Allah ﷻ Ke Raste Me SADQAH Karna Aapke Liye Saya Banega Aaj Jumuah Ka Mubarak Din Hai Zaroor Nafli SADQAH Kare, Aur Apne Marhumeen Ke Naam Se Bhi SADQAH Karen Jiska Unhe Sawab Milega.

Telegram : Rumi Quotes In Urdu

Rumi Quotes In Urdu

16 Oct, 06:24


Rasool E Pak صلی اللہ علیہ وسلم Farmate Hain Quran Padha Karo Kyun Ki Wo Qayamat Me Sifarshi Banke Aayega.
📚 Sahi Muslim 804
Note: Yani Jo Quran Ki Tilawat Karte Hain uske Hukmo'n Par Chalte Hain Qayamat Me Quran unki Bakhshish Ke Liye Allah ﷻ Se Sifarish Karega.

Telegram : Rumi Quotes In Urdu

Rumi Quotes In Urdu

13 Oct, 19:21


Rasool E Kareem صلی الله عليه وسلم Farmate Hain Neki Me Kisi Cheez Ko HAQEER (Chhota) Na Samjho, Chahe Yahi Ho Ki Tum Apne Musalman Bhai Ko Hanste Huye Milo (Yeh Bhi Neki Hai).
📚 Sahi Muslim 6690

Telegram : Rumi Quotes In Urdu

Rumi Quotes In Urdu

12 Oct, 07:58


Agar Aap Pareshan Hain To Apne Pyare Nabi ﷺ Ka Ye Farman Padhiye.
Yaad Rakho Agar Saari Ummat Mil Kar Bhi Tumhe'n Faida Dena Chahe To isse Ziyadah Nahi De Sakte Jo Allah ﷻ Ne Tumhare Liye Likha Hai, Aur Wo Sab Jama Ho Kar Tumhara NUQSAN Karna Chahe To isse Ziyadah Nahi SAKTE Jo Allah ﷻ Ne Tumhare Liye Likh Diya Hai, Qalam Utha Liye Gaye Aur Sahife (TAQDEER Likhe Kagaz) Sookh Gaye
📚 Tirmizi 2516

Note: Yaani Nafa O NUQSAN Wahi Hoga Jo Allah ﷻ Ki Taraf Se Aapke Liye Likha Ho Logon Ke Bura Ya Bhala Chahne Se Kuch Nahi Hota Agar TAQDEER Me Na Ho, Lohe Mehfooz Par TAQDEER Likhi Ja Chuki Hai Aur TAQDEER Likhne Wala Qalam Toot Gaya Aur Jis KITAB Me TAQDEER Likhi Hai uske Kagaz Bhi Sookh Gaye Hain.

Telegram : Rumi Quotes In Urdu

Rumi Quotes In Urdu

30 Sep, 16:01


GHARON ME NAFL NAMAZ PADHNA
Rasool E Rehmat صلی الله عليه وسلم Ne Farmaya Apne Gharon Me Bhi Namaz Padha Karo (Nafl Namaz) Aur unhe Qabrastan Na Banao.
📚 Sahi Bukhari 432

Telegram : Rumi Quotes In Urdu

Rumi Quotes In Urdu

29 Sep, 19:24


Rasool E Kareem صلی اللہ تعالیٰ علیہ وسلم Ne Irshad Farmaya Jab Tum Me Se Koi Dua Kare To Yun Na Kahe, Aye Allah ﷻ Agar Tu Chahe To Mujhe Bakhsh De, Balki use Yaqeen Aur Raghbat Ke Sath Dua Karni Chahiye, Kyun Ki Kisi Bhi Cheez Ka Dena Allah ﷻ Ke Liye Koi Giraa'n (Bhari Padne Wali Baat) Nahi Hai.
📚 Mishkat 2226

Telegram : Rumi Quotes In Urdu

Rumi Quotes In Urdu

28 Sep, 19:48


BUKHAR (FEVER) KO BURA NA KAHO
Nabi E Kareem ﷺ Ne Farmaya,Bukhar Ko Bura Na Kaho Kyun Ki Ye Adam Ki Awlad Ke Gunahon Ko is Tarah Door Karta Hai Jaise Bhatti Lohe Ke Mael (Gandagi) Ko.
📚 Sahi Muslim 2575

Telegram : Rumi Quotes In Urdu

Rumi Quotes In Urdu

27 Sep, 20:07


UMMI Laqab
Huzoor Aqdas ﷺ ❣️ Ka Laqab Ummi Hai Uska Mana Hai Keh Aap ﷺ ❣️ Ne Duniya Mein Kisi Insan Se Likhna Padhna Nahin Seekha. Yeh Huzoor e Aqdas ﷺ ❣️ Ka Bahut Hi Azeemushshaan Moujezah Hai Keh Duniya Mein Aap ﷺ ❣️ ko Kisi Ne Nahin Padhaya Likhaya. Magar Khudawande Quddus Ne Aap ﷺ ❣️ ko Is Qadar ilm Ataa Farmaya Keh Aap ﷺ ❣️ ka Seena Awwaleen O Aakhereen Ke Uloom O Ma'arif Ka Khazinah Ban Gaya. Aur Aap ﷺ ❣️ Par Aisi Kitab Nazil Hui Jiski Shaan: Har Har Raushan Bayan Hai.
📚 SEERAT E MUSTAFA 📄 84

Telegram : Rumi Quotes In Urdu

Rumi Quotes In Urdu

27 Sep, 19:00


Rasool E Pak صلی اللہ علیہ وسلم Ne Farmaya Beshak Jumuah Ka Din Fazilat Wale Dino Me Se Ek Hai, usi Din Hazrat Adam Ko Paida Kiya Gaya, usi Din unka Visal Hua, usi Din Soor Phunka Jayega, Pas Tum Mujh Par Jumuah Ke Din Kasrat Se Durood Padha Karo Beshak Tumhara Durood Padhna Mujh Par Pesh Kiya Jata Hai.
📚 Sunan E Nisai 1373

Telegram : Rumi Quotes In Urdu

Rumi Quotes In Urdu

26 Sep, 05:32


Hazrat Abu Zar رضی اللہ عنہ Farmate Hain Nabi E Kareem ﷺ Ne Mujhe Ulta Leta Hua Dekha To Apne Pao Se Hila Kar Farmaya (Utho) Sone Ka Ye Andaz To Jahannamiyon Ka Hai.
📚 Ibne Majah 3724

Telegram : Rumi Quotes In Urdu

Rumi Quotes In Urdu

25 Sep, 00:41


Allah Walo'n Se Mohabbat
Hazrat Anas رضي الله تعالیٰ عنه Bayan Farmate Hain, Hame'n itni Khushi Kisi Baat Se Nahi Hoti Jitni Huzoor صلی الله عليه وسلم Ki Ye Hadees Sun Kar Hoti Tumhara Hashr (Qayamat Ke Din Mamla) unhi Ke Sath Hoga Jinse Tumhe'n Mohabbat Ho Phir Hazrat Anas Kehne Lage Mai Rasool E Pak ﷺ Aur Hazrat Abu Bakr O Umar رضی اللہ عنھما Se Mohabbat Rakhta Hun, Aur unse Mohabbat Ki Wajah Se Ummid Rakhta Hun Ki Mera Hashr Bhi unhi'n Ke Sath Hoga Agarche Mai un Jaise Aamaal Na Kar Saka.
📚 Sahi Bukhari 3688

Telegram : Rumi Quotes In Urdu

Rumi Quotes In Urdu

23 Sep, 09:32


Allamah Jalaluddin Suyuti رحمۃ اللہ علیہ Farmaate Hain
Tum Achchhi Tarah Jaan Lo Keh zamane Meñ Koi Aisa badi Shaan wala Nahin guzra jis Ke jahil Dushman Na hon.
📚 الیواقیت والجواہر

Telegram : Rumi Quotes In Urdu

Rumi Quotes In Urdu

23 Sep, 01:03


Fiqh e Hanafi aur Isal e Sawab
Ahlu Sunnah waljamat ke mutabik, ek insan apne amal ka Sawab kisi aur ke liye bhi isal kar sakta hai, jaise ke namaz, roza, sadqa ya koi aur nek amal.
✍️ Imam Burhanuddin Marginani (593 Hijri)
📚 Hidayah 1/178

✍️ Imam Al-Sughnaqi (714 Hijri)
📚 Nihayah 6/240

✍️ Imam Muhammad Al Babarti (786 Hijri)
📚 Al Inayah 3/142

✍️ Imam Zuayli (843 Hijri)
📚 Tabiyyin ul Haqaiq 2/419

✍️ Imam Ayni (855 Hijri)
📚 Minhat us Sulook 📄 331

✍️ Imam ibn Humam (871 Hijri)
📚 Fath ul Qadir 3/142

✍️ Imam ibn nujaym (980 Hijri)
📚 Sharh Bahr ur Raiq 3/105

✍️ Imam mulla Ali qari (1014 Hijri)
📚 Fath Bab 1/440

✍️ Imam Tahtawi (1231 Hijri)
📚 Sharh 📄 622

✍️ Imam ibn Abidin (1252 Hijri)
📚 Rad ul Muhtar 2/243

Fiqh Hanafi and Conveyance of Reward
According to Ahlus Sunnah Wal Jamah, a person can convey the reward of His good deeds to someone else, such as prayer, fasting, charity, or other acts.
✍️ Imam Burhanuddin Marginani (593 Hijri)
📚 Hidayah 1/178

✍️ Imam Al-Sughnaqi (714 Hijri)
📚 Nihayah 6/240

✍️ Imam Muhammad Al Babarti (786 Hijri)
📚 Al Inayah 3/142

✍️ Imam Zuayli (843 Hijri)
📚 Tabiyyin ul Haqaiq 2/419

✍️ Imam Ayni (855 Hijri)
📚 Minhat us Sulook 📄 331

✍️ Imam ibn Humam (871 Hijri)
📚 Fath ul Qadir 3/142

✍️ Imam ibn nujaym (980 Hijri)
📚 Sharh Bahr ur Raiq 3/105

✍️ Imam mulla Ali qari (1014 Hijri)
📚 Fath Bab 1/440

✍️ Imam Tahtawi (1231 Hijri)
📚 Sharh 📄 622

✍️ Imam ibn Abidin (1252 Hijri)
📚 Rad ul Muhtar 2/243

Telegram : Rumi Quotes In Urdu

Rumi Quotes In Urdu

21 Sep, 06:30


Huzoor ﷺ ❣️ Ne Faramaya
Jo Shakhs Din Nikle Tak SOYA REHTA HAI Aur NAMAZE FAJR Nahi Ada Karta Yahan Tak Ke Suraj Nikalne Ke Baad UTHTA HAI TO Shaitan Uske KAAN ME PESHAAB Karta Hai.
📚 BUKHARI SHAREEF HADIS NO 1144

Telegram : Rumi Quotes In Urdu

Rumi Quotes In Urdu

21 Sep, 06:07


FARMAANE MOULA ALI
كرم الله تعالى وجهه الكريم
GUNAAHON KI NUHOOSAT SE IBAADAT ME SUSTI AUR RIZQ ME TANGI AATI HAI.
📚 طبقات الصوفیاء ، ج 1، ص 106

Telegram : Rumi Quotes In Urdu