Islamic Group Hindi @islamic_group_hindi Channel on Telegram

Islamic Group Hindi

@islamic_group_hindi


Daily Islamic Quotes & Hadees ❤️

#islamic_quotes #islalmicquotes7s

Islamic Group Hindi (Hindi)

इस्लामिक ग्रुप हिंदी चैनल में आपका स्वागत है! यहाँ रोजाना इस्लामी उद्धरण और हदीस साझा की जाती है। इस चैनल में आपको इस्लाम के महत्वपूर्ण सिख और उद्धरण मिलेंगे, जो आपके दिन को अधिक शांतिपूर्ण और प्रेरणाप्रद बना सकते हैं। nn चैनल के ज़रिए आप न केवल अपने धार्मिक ज्ञान को बढ़ा सकते हैं, बल्कि अपने समुदाय के साथ इस्लामी विचारों को साझा कर सकते हैं। इस चैनल में विशेषज्ञता और समर्पण से चुने गए उद्धरण और हदीस का आनंद लें और अपने जीवन में आनंद के संदेश बोतें।nnइस्लामिक ग्रुप हिंदी चैनल में शामिल होने के लिए अभी सदस्य बनें और रोज नए उद्धरण और हदीस का आनंद लें। #islamic_quotes #islalmicquotes7s

Islamic Group Hindi

21 Nov, 14:35


21-11-2024

Allah ta’ala tumhaare saath aasaani ka muaamla karna chaahta hai aur tumhaare liye mushkil paida karna nahein chaahta.

[Sura-e-Baqarah : 185]


Islamic Group Hindi

21 Nov, 14:35


🌺 Nabi kareem ﷺ ne farmaya: ”murde ( ke sath ) teen cheeze ( qabristan tak ) jaati hain: uske ghar waley, uska maal, aur uska amal, ( phir ) do cheeze yani uske ghar walay aur uska maal lout atey hain, aur ek baqi reh jata hai aur woh uska amal hai.

Islamic Group Hindi

21 Nov, 14:35


Nabi-e-Kareem (ﷺ) ne farmaya:

“Aurton jaisi Chaal-Dhaal apnane waale Mardo aur Mardo jaisi chaal-dhaal apnane waali Aurton par Allah ne laanat bheji hai.”

Ek aur Rewayat iske Talluk se aata hai ki,

Aap (ﷺ) ne un Mardon par laanat bheji hai jo Hijda bante hai aur un Aurton par bhi laanat bheji hai jo Mard banti hain. Aur Aapne in logon ke baare me ye bhi farmaya ki inhe apne gharon se nikalkar bahar kar do.”

*Sahih Al-Bukhari : 5885, 6834

Islamic Group Hindi

20 Nov, 15:21


🍂🌿🍂🌿🌿🍂🌿🍂

🔅 🔆 Aaj ki Pyari Hadees ! 🔆 🔅

Hazrat Anas bin Malik raziyallahu anhu kehte hain ke:

Rasulullah (ﷺ) ne farmaya: "jo shakhs namaz bhuul jaaye to chahiye ke jab yaad aaye padh le.

[ Jami` at-Tirmidhi 178 ]

Islamic Group Hindi

20 Nov, 15:21


WhatsApp Status 📌

Aapka WhatsApp Status Dekhne Waala 30 Second Tak Apna Waqt Aapko Deta Hai, Ab Ye Aapke Upar Hai Ke Aap Uske Badle Use Gaane Sunaate Hai Ya Be Hayaayi Dikhaate Hai ? 🥹


Niyat Kare Ke Ab Se Koi Bhi Be Hayaayi Waali Cheez Status Par Nahi Lagaayenge.


In Sha Allah ☝🏻📘

Islamic Group Hindi

20 Nov, 15:20


🌸 Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya Jis ko ye baat achi lagti hai ki us ki umr lambi kar di jaay aur uske Rizk me Izaafa kar diya jaay aur Buri maut ko us se dafa kar diya jaay to wo Allah (ﷻ) se dare aur Silah Rehmi kare.

📕 ᴍᴜsɴᴀᴅ ᴀʜᴇᴍᴀᴅ : 9049

Islamic Group Hindi

20 Nov, 15:20


Abdullah bin Amr (R.A) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya :

Logo me sab se Behtar wo hai jo Paak aur Saaf Dil wala ho aur Sacchi Zubaan wala ho, Paak-Saaf Dil wala woh Parhezgaar insan hai Jiske Dil me koi Gunaah, Zulm-o-Zyaadati, Jalan aur Hasad aur Nafrat na ho.

[ Ibne Majah, Hadees 4216 ]

Islamic Group Hindi

19 Nov, 12:57


19-11-2024

Jo shakhs Allah ke saath kisi ko shareek thehraata hai, woh aisa bohtaan baandhta hai jo bada zabardast gunaah hai.

[Sura-e-Nisa : 48]


Islamic Group Hindi

19 Nov, 12:57


Hadees: Hazrate Sa’ad bin Abi Waqqas (رضي الله عنه) bayan farmate hai ki,

RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya ki –

“Allah ki Raza (Allah ko Raazi Karne) ke liye jo bhi Tumne Kharch kiya Uska Tumhe Allah se pura pura badla de diya jayega, Yaha Tak ki Agar Tumne apni Biwi ke Mooh me Niwala bhi Rakha hoga tou uska bhi.”

Sahih Bukhari Book 2, Hadees 53

Islamic Group Hindi

19 Nov, 12:56


Allah Ke Rasool (ﷺ) Ne Farmaya
Jab tum me se koi shakhs us ki taraf dekhe jise maal me fazilat haasil hai to us ko bhi dekhe jo us se kamtar (Lower) hai jis par khud use fazeelat haasil hai.

sᴀʜɪʜ ᴍᴜsʟɪᴍ 7428 - ɪɴᴛ 2963

🌺 Is hadees ka matlab ye hai ke jab bhi aap kisi aise insaan ko dekhe jo aap se zyada ameer hai ya us ke paas aap se zyada niyamate hai to us waqt aise insaan ko bhi dekhe jo aap ke mukaable me gareeb hai aur us ke paas aap se kam niyamate hai.

Taaki aap apni un niyamto ko haqeer (kam) na samjhe jo Allah ne aap ko de rakhi hai.