Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya: "Logo me se kuch log Allah wale hotey hain."
Sahabah ne arz kiya: "Ya Rasool Allah! Wo kon log hain?"
Aap (ﷺ) ne farmaya: "Qur'an wale (Ahl-e-Qur'an), wahi Allah wale aur Un ke nazdeeq khas log hain."
📚: Sunan Ibn Majah 215 | Hasan
"Qur'an Wale" yaani Qur'an padhne wale, yaad karne wale, ahadees Rasool (ﷺ) ke zariye se us ka feham (samajh) hasil karne wale, us par amal karne wale aur us ko dusro tak pohchane wale — ye sab Qur'an walo me shamil hain. Qur'an ke saath taluq rakhne wale Allah ke khaas bande aur Un ke qareeb hain, is liye qayamat aur jannat me bhi un par khusoosi inaamaat honge. Aur ye bohot bada sharf hai ke Allah ne unhein "Apna" qarar diya hai.