مسائل از مفتی حذیفہ پالنپوری
https://t.me/KatabahuHuzaifa
❓Mufti Sahab, Bacchon ke soft toys ki aankhon par agar patti baandh di jaaye to kya phir usey istemaal karna jaaiz hoga?
*🅰️جواب :* جائز نہیں ہے۔ ہاں! اگر پورا چہرہ مسخ کر دیا جاۓ یعنی چہرے کے کوئی نشان باقی نہ رہے صرف مٹکے کی طرح رہ جاۓ تو جائز ہے ورنہ وہ تصویر کے حکم میں ہی رہے گا۔ فقط واللہ اعلم بالصواب۔
*🅰️Jawaab :* Jaaiz nahi hai. Haan! agar poora chehra maskh kar diya jaaye ya'ani chehre ka koi nishaan baaqi na rahe, sirf matke ki tarah reh jaaye to jaaiz hai. Warna woh tasweer ke hukm mein hi rahega. Faqt Wallahu Aa'lamu Bis-Sawaab.
*✍️Hazrat Mufti Huzaifa Sahab Palanpuri (db)🎓*