Surah Maidah,
Aayat no 64
أَعـوذُ بِاللهِ مِنَ الشَّيْـطانِ الرَّجيـم
بِسْمِ اللّٰهِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِيْمِ
وَقَالَتِ الۡيَهُوۡدُ يَدُ اللّٰهِ مَغۡلُوۡلَةٌ ؕ غُلَّتۡ اَيۡدِيۡهِمۡ وَلُعِنُوۡا بِمَا قَالُوۡا ۘ بَلۡ يَدٰهُ مَبۡسُوۡطَتٰنِ ۙ يُنۡفِقُ كَيۡفَ يَشَآءُ ؕ وَلَيَزِيۡدَنَّ كَثِيۡرًا مِّنۡهُمۡ مَّاۤ اُنۡزِلَ اِلَيۡكَ مِنۡ رَّبِّكَ طُغۡيَانًا وَّكُفۡرًا ؕ وَاَ لۡقَيۡنَا بَيۡنَهُمُ الۡعَدَاوَةَ وَالۡبَغۡضَآءَ اِلٰى يَوۡمِ الۡقِيٰمَةِ ؕ كُلَّمَاۤ اَوۡقَدُوۡا نَارًا لِّلۡحَرۡبِ اَطۡفَاَهَا اللّٰهُ ۙ وَيَسۡعَوۡنَ فِى الۡاَرۡضِ فَسَادًا ؕ وَاللّٰهُ لَا يُحِبُّ الۡمُفۡسِدِيۡنَ ۞
*Tarjuma::*
Aur yahud kehte hain ke Allah ka haath bandha hua hai. (Yaani Allah nauzubillah bakheel hai), unhi ke haath bandhe hue hain jo unho ne kaha. Balki us ke dono haath khule hain, wo jitna chahta hai kharch kerta hai aur albatta wo zarur zyada ker de ga bahot zyada ko un mein se jo naazil kiya gaya aap ki taraf (Quran), tere Rabb ki taraf se sarkashi mein aur kufr mein ۔ daal di hum ne un ke darmiyan adawat aur bughz qayamat ke din tak. Jab kabhi unho ne bhadkayi aag jung ke liye to Allah ne us ko bujha diya aur wo bhaag daud kerte hain zameen mein fasaad phailane ki aur Allah fasaad karne waalon ko pasand nahi kerta.
✨ *غُلّ :غ۔ل۔ل ،*
Bandha hua gardan se, ye lafz ista'aarah ke taur per aaya hai.
Is ka matlab hai bakheeli, ke Allah ne kharch kerna roka hua hai, deta nahi hai.
*Wo aisa kyon kehte the?*
Kyonki wo maal ke bahot harees the. Jab un ke karobaar mein taraqqi na hoti thi aur aamdani zyada na hoti thi to kehte, Allah nauzubillah bakheel hai.
✨ *غُلَّتْ اَیْدِیْھِمْ:*
Un ke haath baandh diye gaye.
Un ke qaul ka badla.
(1) un ke dilon mein hamesha ke liye bukhl daal diya gaya.
(2) Allah ki rehmat se door ker diye gaye.
Kyonki jab un se Allah ke raaste mein kharch kerne ke liye kaha jaata to kehte ke Allah faqeer ho gaya hai nauzubillah, aur hum se mangta hai.
✨ *بَلْ یَدٰہُ مَبْسُوْطَتٰنِ :*
Unho ne kaha ke Allah ka ek haath bandha hua hai, yaani kami hai.
Allah ne farmaya ke us ke dono haath khule hue hain.
✨ *مَبْسُوْطَتٰنِ : ب۔س۔ط۔*
Phailaana, dene ke liye
(Mubaalgha) wo kharch kerta hai jaise wo pasand kerta hai, kam ya zyada.
✨ *کَیْفَ :*
Kaifiyat, kaise.
✨ *وَلَیَزِیْدَنَّ کَثِیْرًا مِّنْھُمْ :*
Aur wo albatta zarur zyada kare ga, kaseer ta'daad ko un mein se.
✨ *کَثِیْرًا :*
Aksar se ooper ki degree bahot son ko, superlative, kis cheez mein? sarkashi aur kufr mein. Wo Quran jo bahot se logon ke liye hidayat aur shifa ka zariya hai, un ke liye sarkashi aur kufr mein zyadati ka zariya ban jaaye ga. Surah Bani Israel aayat 82 mein hai ke Quran mein shifa aur rehmat hai momino ke liye, aur zalimon ke liye khasara hai.
✨ *وَاَ لۡقَيۡنَا بَيۡنَهُمُ الۡعَدَاوَةَ وَالۡبَغۡضَآءَ اِلٰى :*
Aur hum ne daal di un ke darmiyan qayamat ke din tak ke liye adaawat aur bughz, yaani qayamat ke din tak un ke dilon mein aapas mei nafratein hain. Ye yahud aapas mein phate hue hain. Yahan ye cheez bataur saza bataayi gayi. Jab koi qaum Allah ke ahkamaat se muhn modti hai to un ki aapas ki ladayian, bughz aur hasad badh jaata hai. Nafrat se bachne ka zariya, Allah ke ahkamaat ko mazboot pakadna, apne maqsad ko na bhulana.
✨ *اَلْقِیٰمَۃ: ق۔ی۔م*
Qiyam, khada hona, gol ۃ mubaalghe ke liye, khade hone ka din, soor phoonkne ke baad jab log qabron se uth khade honge, Rabb ke saamne hisaab ke liye khade hon ge, aur gawahi ke liye khade hon ge.
✨ *كُلَّمَاۤ اَوۡقَدُوۡا نَارًا لِّلۡحَرۡبِ :*
Jab kabhi unho ne jung ke liye aag bhadkayi, Allah ne usay bujha diya.
✨ *کُلَّمَا :*
Kul se muraad yaani har mauqe per.
⚡ *jung ki aag bhadkaane se kya muraad hai?*
✨ fitnah o fasaad se muraad hai islam aur islam phailane waalon ke khilaaf fitnah o fasaad phailana chahte the. Magar Allah us ko bujha deta hai. Yaani un ki koshish nakaam bana deta hai.
Zamana nabuwwat mein un ke teen qabayil aabaad the aur wo waqtan fa waqtan fitnah o fasaad phailaate rehte the, lekin kabhi apne maqsad mein kamyab na hue.