*Sarkar ﷺ Ka ILm e Ghaib :*
Lekin..!! Ye Kehna Ki "Maa Kana Wa Ma Yakoonu" Ka ilm Hansil Hone Se Sarkar ﷺ Ka ilm AllaH Ta'ala Ke ilm Ke Barabar Ho Gaya معاذ الله Durust Nahi Hai. Ye Un Khabees Logo Ka Khuda Ka Tasawwur Hai Ki Jo kahte Hain Ki Maa Kana Wa Ma Yakoonu Ka ilm To Sirf AllaH Ko Ho Sakta Hai Kisi Aur Ke Liye Manna Shirk Hai,
Hargiz Nahi..!! Hamne Kya Padha Tha Ki AllaH Ta'ala Ka ilm La-Mahdood Hai AllaH Ta'ala Ke ilm Ke Liye Koi Had Nahi Hai, Sarkar ﷺ Ka ilm Agarche Bahut Zyada Hai Tamam Makhlooq Ke ilm Ko Agar Jama Kiya Jaye Sarkar ﷺ Ke ilm Ke Saath Isko Compare Kiya Jaye Na To Aap ﷺ Ke ilm Ka Aik Katra Bhi Ye Pura Nahi Hoga Itna ilm Mere Pyare Aaqa ﷺ Ko AllaH Ta'ala Ne Ata Farmaya Hai
Lekin..!! Hargiz Iska Matlab Ye Nahi Hai Ki Sarkar ﷺ Ke ilm Aur Allah Ta'ala Ke ilm Me Barabri Ho Gai Kyun Ki Sarkar ﷺ Ka ilm Agarche Bahut Zyada Hai Lekin Uske Liye Aik Boundary Hai, AllaH Ta'ala Ke ilm Ke Liye Koi Boundary Nahi Hai To Isme Kabhi Bhi Barabri Ka Concept Nahi Hai Maa Kaana Wa Ma Yakoonu Ki ilawa Bhi Bahut Sari Cheezon Ka ilm Hai Jo AllaH Ta'ala Rakhta Hai To Isse Kabhi Bhi Ye Tasawwur Nahi Lana Chahiye Ki Humne Dono Ke Darmiyan معاذ الله Barabri Kar Li
Bahut Se Log Isme Toka Toki Karte Hain Isme To Barabari Ho Gai Ayesa Ho Gaya Waisa Ho Gaya Hargiz Barabri Nahi Aati Woh Ho Sakta Hai Unka Khuda Jo Woh Man Rahe Hain Woh Sirf Itna Ho Mahdood Ho معاذ الله Ki Ma Kaana Wa Ma Yakoonu Tak, Hum Jis Khuda Ki Gawahi Dete Hain Ki Woh Wahdahu La-sharika Lahu Hai Hum Iske Kail Hain Ki Uska ilm La-Mahdood Hai Yani Jiski Koi Boundary Nahi Hai.
To Ye 👆Maine Aap Ko Maa Kaana Wa Ma Yakoonu Aur Tadreej Par Yani Step By Step Ilm e Ghaib Nazil Huwa Is Par Qura'an e Majeed Se Aap Ko Dalail De Diya 3 Aayat Se Maine Aap Ko Samjha Diya Ab Aaye Hadeese Mubarka Ki Taraf...
Continue...
https://t.me/Aqaid_Course
Ubaid e Raza official