Islamic channel by fatima

@islamicgroupbyfatima


This channel is only for females | Share group link with your female friends

Islamic channel by fatima

18 Oct, 08:32


Assalamualaikum,
Aaj Jummah ka din hai aur Jummah ka din Allah ko bahot Aziz hai, aaj ke din jitna ho sake acchhe aamal kijiye, Awwal waqt par namaz ada kariye, surah kahaf aur Surah Jummah ki tilawat kijiye, kasrat se durud Sharif padhiye, sunnaton ka ahtemam kijiye, apne marhumin ki magfirat ki duaa kijiye aur puri ummat ke liye khiar aur aafiyat mange.

Islamic channel by fatima

12 Oct, 23:24


Allah ko kaise manae or usse kaise maange

Islamic channel by fatima

05 Oct, 10:07


🌹 Hazrat Abu Umamah R.A. Bayaan Karte Hain Ki Maine Rasoolallah ﷺ Ko Bayaan Karte Huye Suna : Quran kasrat se padha karo isliye ke qayaamat wale din Yeh (Quran) apne padhne wale saathiyo ke liye sifaarish ban kar ayega.

(Sahih Muslim)

• Mere bhaiyon/behno aap log koshish kren ki roz quran padhen Kam az kam ek paara or agar bahot waqt ki kami h toh aadha paara or agar hadd se zyada masruf h toh ek ruku toh zaroor padhe roz taaki qayaamat ke din quraan aapke liye Allah se sifarish kare 🥺❤️

Islamic channel by fatima

02 Oct, 09:00


🥀 Rasoolallah ﷺ ne farmaya khwaab ko apne kisi muhabbat krne wale mukhlis ya saahib e ilm ke alaawa kisi se hargiz bayaan na kro.

📙 Abu Dawood : 5020

• mere pyare bhaiyo/behno pahli chiz ye dhyan me rakkhen ki fajr ke baad ke jitne bhi khwaab hote h unka koi matlab ya tabeer nahi hoti lekin fajr se pahle ke jo khwab hote h unki taabeer ya koi matlab zarur hota h isliye hmesha apne khwaab ke baare me apne kisi family member ya koi aise dost ehbaab se btaen jo mukhlis ho q ki woh galat taabeer ni dega or na hi aapka bura chahega wrna kisi aalim ko bataen jo khwab ki taabeer ka ilm rakhte ho.

• Khwab asmaan pr latke hote h or jo jaisi taabeer nikaalta h phir wo khwab zameen par waise hi waaqe hote h..

Islamic channel by fatima

28 Sep, 06:52


Rasulullah sallallahu alehi wasallam ne farmaya..💐

Wo naujawan jis ki jawani Allah ki ita'at aur farmanbadari me guzri Allah ta'la use qayamat k din apne arsh ka thanda saya Naseeb farmayga 🍃

Sahi bukhari_6806

Islamic channel by fatima

27 Sep, 00:04


Asslmualaikum aaj bhot barkat wala din h (Jumah) is din ko qatai faltu or bekaar chizo me zaae mat kryega

dekhye gunah hm sbse hote h or hmesha hr pal gunah se bachna h
lekin koshish kryega ki aaj aap har gunah se parhez kro
or aj ka din sirf namaz quran
tasbeeh ( Durud paak) padhye
kyuki maut ka koi bharosa nhi h islye maut ki tyyari hmesha krte rehna chahye

Islamic channel by fatima

24 Sep, 00:15


Kisiki beizzati karna kaisa h??

Rasul Allah (ﷺ) ne farmaya :
“Sab se bada sood ye hai ke Aadmi Nahaq kisi musalman ki Beizzati kare
Sunan abu dawud Jild 3, 1448-Sahih


ek taraf hamlog sood khane or khilaane se bachte h kyuki yeh haraam h or aise logo par rasul paak ki laanat h
lekin dusri taraf ham ek musalman ko bewajah beizzat kr dete h .......
ab aap khud dekho aap sood kha rahe ho ya nahi???

Islamic channel by fatima

07 Sep, 12:02


Allah hi hai jo malik hai jo ebadat ke laik hai..gor krein zra apne hatho pr...kese gosh me se nakhun nikle hue hein..phir gosh me se dant...gosh me se ankhein..apne andar apko lakho nishaniya nzr ayein gi...itni nishaniya ki insan sir pakad kr beth jae...itni qudrat rakhne wali zaat...daily wo hum se kis frz ko ada krne ka kehta hai?...namaz..jo hamare liye hi behtar hai...to kya hmara frz nhi bnta ki hum uska ye hukm mane..?? to bs ek baat aaj se zehn me betha lein ki kuch bhi ho jye..kuch bhi...maine namaz nhi chorni..bs..phir dekhna Allah kaise sukoon deta hai... zillat ki pastiyon (andhere) se nikal kr izzat ki bulandiyo(roshni) pr faaiz krta hai..

Islamic channel by fatima

05 Sep, 17:39


I need your dua
please dua me yaad rkhen

Islamic channel by fatima

31 Aug, 11:15


Asslmualaikum is group ki admin Aish Fatima ko aap sabki khaas dua ki zarurt h
aap sab dua kren ki Allah Aish Fatima ke lye gaeb se raaste khol de or rehmate nazil krden unpe

Islamic channel by fatima

19 Aug, 00:16


Zina sirf kuch minute ki Khushi deta h or qabr tak azaab ban ke sath jata h yahan tak ki jahannam tak kheech ke le jata h

Or ek nek kaam me sirf kuch minute ki mashaqqat hoti h or kaahili susti aati h lekin qabr me woh aapke lye roshni ban k jata h or jannat tak aapko kheech ke le jata h

Islye kuch pal ki Khushi k lye gunah mat kro or kuch pal ki mashaqqat pareshani ke darr se neki mat. Chhoro😊

Islamic channel by fatima

07 Aug, 20:04


Hadees: Jiske dil me raai ke daane ke barrabar bhi takabbur hoga wo jannat me daakhil nahi hoga

Islamic channel by fatima

02 Aug, 12:36


Yateem par zulm karna
namaz qaza karna
baat baat par Allah kasam khana
kaisa h

Audio ko dhyan se sune

Islamic channel by fatima

24 Jul, 07:23


Sawal 👉 Taqwa kaise ikhtiyar kare?

1 - Sabse phle to apne ap par rahem kare aur apni Busy zindagi me se ek ghante ka waqt nikaal kar tamaam Haram kaamo ki ek list banaye aur us list ke hisab se apni ek din ki zindagi ko scan kare.

2 - Kuch Haram kaam aise hote hain jo insan ki Lifestyle me add hokr aadat ban chuke hote hn aur insan ko unka ehsas tak nahi hota, is liye Sbse pehle un Haram aadato ko apni lifestyle se delete karde.

3 - Jo common aur Regular Haram kaam hain sab se pehle un par focus kare aur sbse pehle unse bachne ki kosis karen. Uncommon aur irregular Haram kaam se bachne me Allah (ﷻ) khud aapki madad karenge.

5 - Zindagi is yaqeen se guzariye ke Allah aapki baarik se baarik harkat par bhi nazar rakhe hue h aur aap ka kiya hua har amal uske ilm me hai.

6 - Har namaz ko uske waqt par pabandi se ada kare, Har kaam ko Rasool (ﷺ) ke sahih aur sunnat tarike par karne ki koshish kre, zyada se zyada nek amal kare, Har roz apne kiye hue gunaho ko yaad karke Astagfar kare.

Islamic channel by fatima

19 Jul, 07:23


Assalamualaykum warahmatullahi wabarakatuh. Aaj Juma he. Yad se Surah kahaf ki tilawat kar lena. Fitnae dajjal aur tamam fitno se Allah ki panah mangna. dua karna ke Allah hamara hami o madadgar bane. palestine walo k liye bhi khas dua karna Jazakallah