Islamic Group Hindi

@islamic_group_hindi


Daily Islamic Quotes & Hadees ❤️

#islamic_quotes #islalmicquotes7s

Islamic Group Hindi

22 Oct, 15:33


*22-10-2024*

(Logon ke baare mein) achchha gumaan rakhna, behtareen ibaadaton mein se hai.

[Abu Daaood: 4993]


Islamic Group Hindi

22 Oct, 15:33


Hazrat Jabir raziyallahu anhu kehte hain ke: Rasulullah (ﷺ) ne ghar me tasviir rakhne se mana farmaya aur Aap ne isko banane se bhi mana farmaya.

[ Jami` at-Tirmizi 1749 ]

❶ Tasviir ke silsile me jamhoor ulama ki ye raa'ey hai ke jo rooh aur jaan daar ki tasviir qatayi taur par haraam hai,bgair jaan daar chiizen masalan darakht wagerah ki tasviir haraam nahi hai, baaz ka kehna hai ke jaan daar ki tasviir agar aisa jagah ho jaha ose paa'ooñ se raunda jaraha ho to isme koyi harj nahi hai.

Islamic Group Hindi

22 Oct, 15:33


🍂 Allah Ke Rasool (ﷺ) Ne Farmaya : Har shakhs ko apni tamaam zaroorate apne Rab se mangni chahiye yaha tak ke jab joote ka tasma (Shoe Lace) toot jaaye to uske baare me bhi apne Rab se sawaal karna chahiye.

ᴍɪsʜᴋᴀᴛ ᴜʟ ᴍᴀsᴀʙᴇᴇʜ : 2251

🌺 Har Musalman ko ye chahiye ke wo apni har Halaal aur jaayez zaroorat ko poora karne ke liye Halaal aur jaayez tareeke se munasib koshish kare aur sirf aur sirf Allah hi se madad maange kyu ki sirf Allah hi ata karne par qaadir hai. Dua aur koshish ke baad agar aap ki zaroorat poori ho jaay to Allah ka shukr ada kijiye aur agar Allah ka faisla aap ke haq me na ho to sabr kijiye aur Allah se umeed lagaay rakhiye. Allah apne bando par bada maherbaan aur nihayat rahem karne wala hai, us ke siwa Rahem karne wala, Karam karne wala aur ata karne wala koi bhi nahi.

Islamic Group Hindi

22 Oct, 15:33


Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya : Jab tum me se koi Dua kare toh Pehle apne Rab ki Tareef bayan kare Phir Nabi (ﷺ) par Durood bheje Uske baad jo chahe Dua maange.

📕 Abu Dawood : 1481

Islamic Group Hindi

21 Oct, 14:58


21-10-2024

Allah hi woh hai jis ne tum ko paida kiya aur wohi tumhein rozi deta hai phir (waqt aane par) wohi tum ko maut dega aur phir tum ko wohi dobaara zinda karega.

[Sura-e-Room: 40]


Islamic Group Hindi

21 Oct, 14:58


Dawat ka kaam har Musalman ki zimmedaari hai. Ye sirf ulama ya khaas logon tak mehdood nahi. Har shakhs ko Islam ka paighaam pyar aur narmi ke sath phelana chahiye.

Dawat har Musalman ki zimmedaari hone ka tasalsul hamein Quran aur Hadees se milta hai. Hazrat Muhammadﷺ ne apne ummatiyon ko dawat dene aur Islam ka paighaam phelane ka hukm diya. Iske liye kuch hadeesain yeh sabit karti hain:

Nabi ﷺ ne farmaya : Mujh se baat ko doosron tak pohnchao, chaahe ek ayat hi kyun na ho.
📚 Sahih Bukhari : 3461

Is hadees se yeh wazeh hota hai ke har Musalman ka kaam hai ke jo bhi ilm ya paighaam uske paas hai, use doosron tak pohnchaye, chaahe wo thoda hi ho.

Nabi ﷺ ne farmaya: Tum mein se behtareen wo hai jo Quran seekhta hai aur dusron ko sikhata hai.
📚 Sahih al-Bukhari : 5027

Is hadees se yeh sabit hota hai ke Musalman ke liye zaroori hai ke wo sirf apne liye nahi, balke doosron ke liye bhi deen ka ilm hasil kare aur phelaye.

Nabi ﷺ ne farmaya: Jo shakhs kisi ko neki ki taraf bulaye, uska ajar bulane wale ko bhi milega.
📚 Sahih Muslim : 1893

Is hadees se yeh sabit hota hai ke Dawat dena aur doosron ko neki ki taraf bulana har Musalman ka farz hai, aur iska sawab bulane wale ko bhi diya jaata hai.

In hadeeson se sabit hota hai ke Dawat sirf ulama ka kaam nahi, balke har Musalman ko Islam ka paighaam doosron tak pohnchana chahiye, chahe wo thodi si baat hi kyun na ho.

Islamic Group Hindi

21 Oct, 14:58


🫶🏻 Aapki zindagi mein hone waali cheezein be matlab nahi ho rahi hain inn sabke peeche ALLAH ta’ala ne bohat se raaz chhupa rakhe hai.

💐 Har cheez k peeche ALLAH ne kuch maqsad chhupa rakhe ha filhal ye samjh nahi aah rahe lekin trust me bohat jald apko sab samjh aah jaaega.

🫂 Aapke liye kuch bohat khoobsurat rakha gaya hai jiske liye ye sabka hona zuroori hai!!!

Islamic Group Hindi

21 Oct, 14:58


Khasaare (Nukhsaan) se bachne k 4 usool 🍁

1- Ilm.
2- Amal.
3- Haq baat ki taraf dawat dena.
4-Dawat e deen k raaste me aane wali mushkilaat par sabr.

Allah tala ne farmaya : Qasam hai Zamaane ki tamam insaan khasaare me hai, Siway unke jo imaan laay aur nek amal kiye aur apas me ek dusre ko haq ki wasiyyat kiye aur sabr ki wasiyyat kiye.

📓 Reference : (Suratul Asr :1-3)

4,273

subscribers

14,668

photos

7

videos