Ahle Sunnat Ahle Jannat

@ahlesunnatahlejannat786


Ahle Sunnat Ahle Jannat

22 Oct, 16:26


Huzoor E Aqdasﷺ ne farmaya, Rizq mein kisi cheez ka der se milna tumhe iss baat par majboor naa kare ki tum Allah Ta'ala ki nafarmani karke rizq talaash karne lago kyunki jo Allah Ta'ala ke paas hai (yaani sawaab wagairah) uss tak uski nafarmani se nahi pahuncha jaa sakta.

Ihyaul Uloom, Jild-2

Ahle Sunnat Ahle Jannat

22 Oct, 13:30


SAWAL:-
Asslamualaikum
Hazrat Log Ye Khete He Khana Khane Ke Baad Mitha (sweet) Khana Sunnat He?
Par Mene Dekha Or Padha To Mujhe Kahi Bhi Aisa Nhi Mila Kuch Bhi Aap Rehnumai Farmaye Is Par

JAWAB:-
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Khana Khane Ke Aadab Me He Ki Khane Ki Shuruaat Me Or Aakhir Me Namkeen Ya Namak Khaya Jaye Or Agar Kuchh Mitha Ho To Bich Me Khaye..

Jaisa Ki Barkate Sunnate Rasool Me He,
Jab Khana Khane Ke Liye Bethe To Namkeen Se Shuru'a Kareñ Phir Mithi Cheez Khayeñ Phir Aakhir Me Namkeen Cheez Par Khane Ka Ikhtetam Kareñ.
▪️(Barkate Sunnate Rasool, Khana Khane Ke Sunan W Aadab, S-302
Or Sarkar Tajushshariya Alaihir Rahma Farmate Hai,

Mitha Khane Ke Bich Me Khane Se Murad Yahi He Ki Pahle Ibteda Namak se Kare Ya Namkeen Se Kare Or Fir Inteha Bhi Namak Se Ya Namkeen Se Kare Or Bich Me Mitha Khaye.

Http://jamiaturraza.com/session/150209/38.mp3

Or Sunni Bahishti Zewar Me He,

Khane Ki Ibteda Namak Se Ki Jaye Or Khatm Bhi Isi Par Kareñ. Is Se Sattar Bimariyañ Dafa'a Ho Jati Hai. Ye Is Soorat Me He Ki Dastarkhwan Par Namkeen Or Mithi Donoñ Qism Ki Cheezeñ Hoñ Or Dastarkhwan Par Sirf Namkeen Khana Ho Or Baade Faragat Kuchh Mitha Kha Liya Jaye To Mash'hoor Ye He Ki Ye Maula Ali KarramAllahu Wajhahul Kareem Ki Sunnate Kareema He.
▪️(Sunni Bahishti Zewar, S-584)

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

Ahle Sunnat Ahle Jannat

22 Oct, 12:25


Audio from Aabid Cane Wala

Ahle Sunnat Ahle Jannat

22 Oct, 12:25


*👑Tajush Shari'ah Q|A Session Group👑*
*18 Rabius Saani, Hazrat Mehboob e Ilahi Khwaja Nizamuddin Awliya Alaihir raHmah ka URS Sharif hay.* AhleSunnat wa Jama'at mein Unn k Maqam wa Martaba par kch irshaad farmaen aue ye bhi k jo loug Hazrat Mehboob e Ilahi ki taraf Mazameer k sath Simaa ki jhooti nisbat kartay hain unn k bhi kch radd irshaad ho. Shukriya

http://jamiaturraza.com/session/11Mar12/1.mp3

*_👑Qazi ul Quzzat Fil Hind Huzur TajushShari'ah Ka Jawaab Samaa'at Farmaaein.._👑*

Ahle Sunnat Ahle Jannat

22 Oct, 09:56


*Neki Ka Rasta Batane Par Neki Karne Jitna Sawab Hai*

Rasool E Pak صلی الله عليه وسلم Irshad Farmate Hain.... *Jo Koi Neki Ki Raah Bataye usko Utna Hi Sawab Hai Jitna Neki Karne Wale Ko*
📚 Sahi Muslim #4899"

Ahle Sunnat Ahle Jannat

21 Oct, 15:53


Video from Aabid Cane Wala

Ahle Sunnat Ahle Jannat

21 Oct, 15:53


🌙🌙🌙🌙🌙🌙🌙🌙🌙🌙

*بسم الله الرحمن الرحيم*
*الصــلوة والسلام‎ عليك*
*يارسول‎ الله ﷺ*

*POST NO - 10:*

*👉🏻SHAAN-E-GAUSE AAZAM👈🏻*

*FARMAAN:*
GUNIYATUT TAALIBEEN, VOL-1, PG NO-128 & 179.

GAUSE PAAK رضي الله عنه Farmate Hai HAMARA AQEEDA Hai Ke MAYYAT Apne ZAAHIREEN Ko PEHCHAANTI Hai. Bil KHUSOOS Jab Woh JUMA Ke ROZ TULUE FAJR Se Lekar TULUE SHAMS Tak Iske PAAS Aate Hai.

GAUS PAAK رضي الله عنه Farmate Hai Ke KABR Ke SAAMNE IS TARAH KHADA Ho JAISE USKI ZINDAGI Me Uske SAAMNE KHADA HOTA THA Aur USKA EHTERAAM KARTA THA.

GAUS PAAK رضي الله عنه Farmate Hai 11 MARTABA SURAH IKHLAAS Aur DUSRI SURTEIN PADHKAR Iska SAWAAB SAAHIBE KABR Ko BAKHSHE.

Iska TARIKA YEH Hai Ke WOH Is TARAH KAHE. Aye ALLAH ﷻ AGAR In SURTON Ki TILAAWAT Ke AJR Ka MAI MUSTAHIK BANA Hu Toh YEH SAWAAB Is KABR WAALE Ko MIL JAYE.
🌙🌙🌙🌙🌙🌙🌙🌙🌙🌙

Ahle Sunnat Ahle Jannat

21 Oct, 14:32


بسم الله الرحمن الرحيم

الصلٰوة و السلام عليك يا رسول الله ﷺ

🌹18 RABIUL AAKHIR SHAREEF,

🌹URS MUBARAK,

🌹KHALEEFA O MUREED
HAZRAT BABA FAREED UD DEEN MAS'OOD GANJ E SHAKAR,

🌹SULTAAN UL MASHAAIKH,

🌹MAHBOOB E ILAAHI,

💐HAZRAT SAYYID SHAIKH MUHAMMED
IBN E AHMED
IBN E ALI
HAZRAT NIZAMUDDEEN AULIYA.
RADI ALLAHU TA'ALA ANHUM AJMA'EEN.

🌹DEHLI SHAREEF

Ahle Sunnat Ahle Jannat

21 Oct, 14:32


Photo from Aabid Cane Wala

Ahle Sunnat Ahle Jannat

21 Oct, 12:11


Hazrat Meer Sayyed Noor-ud-deen Mubarak Ghaznawi rahmatullāhi alaihi :


****
Alqaab :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
Shaikh-ul-Islaam, Meer-e-Delhi.

*****
Aap ke waalid ka naam Hazrat Abdullāh bin Sharf-ud-deen al-Husaini hai.

Aap Husaini saadaat hain.

*****
Aap ne Hazrat Shaikh Shahaab-ud-deen Umar Suharwardi rahmatullāhi alaihi se ta’aleem haasil ki.

Phir Aap Baghdad se Delhi tashreef laaye.

*****
Sultaan Shams-ud-deen Altamash ne Aap ko Delhi ke ‘Shaikh-ul-Islaam’ muqarrar kiya tha.

Aap ne ‘Deen Panaahi’ ke liye Sultaan ko 4 Qaanoon bataaye the :
(1) Kufr o Shirk [But-parasti] ko door karna chaahiye.
(2) Badkaari, ayyaashi aur gunaah ko rokna chaahiye.
(3) Shara'i qaanoon laagu karne ke liye nek aur muttaqi logo ko muqarrar karna chaahiye.
(4) Mulk me Adl o insaaf qaa'im rakhna chaahiye.

*****
Aap Hazrat Shaikh Shahaab-ud-deen Umar Suharwardi rahmatullāhi alaihi ke mureed aur khalifa hain.
Aap ne Hazrat Shaikh Muhammad Ajal Shirazi rahmatullāhi alaihi se bhi faiz haasil kiya hai.

Aap ke khalifa Hazrat Sayyed Najm-ud-deen Shaah Qalandar rahmatullāhi alaihi hain.

*****
Aap ka wisaal 13 Rabi-uṡ-Ṡaani 632 Hijri (January 1235 A.D.) ko hua.

****
Aap ka mazaar Shamsi Hauz ke qareeb Mehrauli, Delhi me hai.
****
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Aur Hazrat Meer Sayyed Noor-ud-deen Mubarak Ghaznawi rahmatullāhi alaihi aur tamaam Auliya Allāh aur Ahle bait ke waseele se
Sab ko mukammal ishqe Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko ikhlaas ke saath nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko duniya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa'iz muraado ko puri farmae.
Aameen.

Ahle Sunnat Ahle Jannat

21 Oct, 12:11


Photo from Aabid Cane Wala

Ahle Sunnat Ahle Jannat

21 Oct, 09:01


Rasool E Pak صلی اللہ علیہ وسلم Ne Famaya..... *Jo Log Allah Ko Yaad Karte Hain 1> Noorani Farishte Unke Pas Jama Hote Hain, 2> Allah Ki Rehmat Unpe Saya Karti Hai, 3> Sukoon Aur itmenan Unpe Nazil Hota Hai, 4> Allah Pak unka Zikr Farishto'n Me Farmata Hai*
📚 Tirmizi #3378

Ahle Sunnat Ahle Jannat

21 Oct, 05:29


•┈┈┈┈•••••✦✿✦•••••┈┈┈┈•
11vi Shareef Ki Shara-yee Hesiyat
•┈┈┈┈•••••✦✿✦•••••┈┈┈┈•

*Post No : 10*
•-•-•-•-•-•-•-•-•

🎋Kya Is Niyaz Ki Barkat Ya Hazrat Gaus E Paak Ka Waseela Se Humari Hajat Puri Hogi?

🌿Alhamdulillah Zarur Hajat Puri Hogi Aur Khud Farman E Gaus E Paak Hai,Hazarat Allama Nooruddin Shatnaufi Rahimahullah Farmate Hai Ki Khabar Di Ham Ko Abul Hasan Bin Zakariya Bagdadi Ne. Unhone Kaha *629 Hizri* Me Ham Ko Qaziyul Qaza Abu Saleh Bin Hafiz Abu Bakr Abdurrazaq Bin
Shaikhul Islam Muhayyuddin Abu Muhammad Abdul Qadir Jilani Radiallahu Ta’aala Anhu Ne Bagdad Me Khabar Di. Unhone Kaha Hamko Shaikh Abu Abdurrazzaq Ne Khabar Di Aur *690 Hizri* Me Hamko Shaikh Abu Muhammad Alhasan Faqiya Abu Imran Musa Bin Ahmad Bin Alhasan Karshi Shafaee Ne Kaahira Me Khabar Di. In Dono Ne Kaha Ki *613 Hizri* Me Hamko Shaikh Peshwa Abul Hasan Karshi Ne Damishq Me Khabar Di Ki Maine Shjaikh Abu Muhammad Abdul Qadir Jilani Radiallahu Ta’aalal Anhu Se Suna Wah Farmate The. “Jab Tum Allah Ta’aala Se Koi Hajat Talab Karo To Mere Wasile Se Talab Karo.”
Isko Faqih E Millat Mufti Jalaluddin Ahmed Amjadi Ne Apni Kitab *Buzurgo K Aqaid Me Safa No. 358* Me *Bahjatul Asrar Safa 23* K Hawale Se Likha Hai.
Aur Isey Akhbar Ul Akhiyar, Likhne Wale Hazrat Shah Abdul Haq Muhaddis Dehlvi Rehmatullah Alaih, Chapi Adbi Duniya Matiya Mahal Dehli, Likhte Hai:

*Farmaya K Jab Bhi Allah Se Koi Chiz Maango Toh Mere Waseele Se Mango Taake Muraad Puri Ho Aur Farmaya Jo Kisi Musibat Se Mere Waseele Se Imdad Chahe Toh Uski Musibat Door Ho Aur Jo Kisi Sakhti Me Mera Naam Lekar Pukare Oose Kushadgi Hasil Ho Aur Jo Mere Waseele Se Allah K Saamne Apni Muraad Pesh Kare Toh Puri Ho*

*To be continued* 🚦


○●●●●●●●●●●●●○

طالِبِ دُعا
محسن افتخار
اہل سنت، اہل جنت

Talib-e-Du'a.
Mohsin Iftikhar
📱+

🅰HLE SUNNAT 🅰HLE JANNAT

https://m.facebook.com/AhleSunnatAhleJannat786

─═─═─═─═─═─═─

Subscribe Our YouTube Channel

https://www.youtube.com/AhleSunnatAhleJannat786l

Ahle Sunnat Ahle Jannat

20 Oct, 16:23


Badan ke aafiyat (salamati) ki dua*
------------
✦ Abdul rahman bin Abu bakr Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki unhone apne walid se pucha ki Abbu jaan main aapko har subah aur sham ko teen martaba ye dua padhte huye sunta hu 

‎*اللَّهُمَّ عَافِنِي فِي بَدَنِي اللَّهُمَّ عَافِنِي فِي سَمْعِي اللَّهُمَّ عَافِنِي فِي بَصَرِي لاَ إِلَهَ إِلاَّ أَنْتَ*
Allahumma Aafini fi badani, Allahumma Aafini fi samaee, Allahumma aafini fi Bashari, La ilaha illa Anta.

Ya Allah tu mere badan mein aafiyat ata farma , Ya Allah tu mere kaano mein aafiyat ata farma ,Ya Allah tu meri nigaho mein aafiyat ata farma tere siwa koi maabud nahi
to unhone kaha ki maine Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ko yahi dua isee tarah padhte huye suna hai aur mujhe pasand hai ki main unki sunnat par amal karta rahu
Sunan Abu Dawood, Jild 3, 1649-Hasan
-----------
‎عبد الرحمن بن ابو بکرہ رضی الله عنه سے روایت ہے کی انہونے اپنے والد سے دریافت کیا کی ابو جان! میں آپ کو ہر صبح یہ دعا پڑھتے ہوئے سنتا ہوں

‎*اللَّهُمَّ عَافِنِي فِي بَدَنِي اللَّهُمَّ عَافِنِي فِي سَمْعِي اللَّهُمَّ عَافِنِي فِي بَصَرِي لاَ إِلَهَ إِلاَّ أَنْتَ*
‎اے اللہ! تو میرے بدن میں  عافیت عطا فرما ، یا اللہ تو میرے کانوں میں عافیت عطا فرما، اے اللہ تو میری نگاہوں میں  عافیت عطا فرما، تیرے سوا کوئی معبود نہیں آپ اسے تین مرتبہ دہراتے ہیں جب صبح کرتے ہیں اور تین مرتبہ جب شام کرتے ہیں؟، تو انہوں نے کہا: میں نے رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم کو یہی دعا کرتے ہوئے سنا ہے، اور مجھے پسند ہے کہ میں آپ کی سنّت پر عمل کرتا رہوں ۔
‎سنن ابو داوود جلد ٣ / ١٦٤٩ -حسن
-----------
अब्दुल रहमान बिन अबू बक्र रदी अल्लाहू अन्हु से रिवायत है की उन्होने अपने वालिद से पूछा की अब्बू जान मैं आपको हर सुबह और शाम को तीन मर्तबा ये दुआ पढ़ते हुए सुनता हूँ 

‎*اللَّهُمَّ عَافِنِي فِي بَدَنِي اللَّهُمَّ عَافِنِي فِي سَمْعِي اللَّهُمَّ عَافِنِي فِي بَصَرِي لاَ إِلَهَ إِلاَّ أَنْتَ*
अल्लाहुम्मा आफिनी फ़ि बदानी, अल्लाहुम्मा आफिनी फ़ि समई, अल्लाहुम्मा आफिनी फ़ि बशारी, ला ईलाहा इल्ला अन्ता 

या  अल्लाह तू मेरे बदन में आफियत अता फरमा , या अल्लाह तू मेरे कानों में  आफियत अता फरमा, 
या अल्लाह तू मेरी निगाहों में  आफियत अता फरमा, तेरे सिवा कोई माबूद नही तो उन्होने कहा की मैने रसूल-अल्लाह सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम को यही दुआ पढ़ते हुए सुना है और मुझे पसंद है की मैं उनकी सुन्नत पर अमल करता रहूँ 
सुनन अबू दाऊद, जिल्द 3, 1649-हसन

Ahle Sunnat Ahle Jannat

20 Oct, 11:08


Video from Aabid Cane Wala

Ahle Sunnat Ahle Jannat

20 Oct, 08:36


*🌹•••HADEES•••🌹*

🌹 *HUZUR E AKRAM ﷺ ne farmaya :*

*"Achhe Akhlaq Gunah ko is tarah Pighla dete hai jis tarah Pani Barf ko Pighla deta hai aur bure Akhlaq Amal ko aise Kharab karte hai jaise Sirka Shahad ko kharab kar deta hai."*

📚 *Al Mo’ajamul Kabir Jild 10, Hadis no. 10777*

Ahle Sunnat Ahle Jannat

20 Oct, 06:30


Photo from Aabid Cane Wala

Ahle Sunnat Ahle Jannat

20 Oct, 06:30


Hazrat Haaji Ali Shah Bukhari rahmatullāhi alaihi :


Alqaab :
‾‾‾‾‾‾‾‾
Qutub-e-Zamaan, Shaah-e-samundar.

******
Ek martaba aap ne ek aurat ko rote hue dekha. Aap ne rone ki wajah puchhi to us ne bataya ki ‘Main is bartan me tail lekar jaa rahi thi. Achanak thokar lagne se gir gai aur ab agar bagair tail ke ghar jaaungi to mera shohar naraaz hoga.’
Aap ko gareeb pareshaan aurat par raham aa gaya aur aap ne use us jagah bataane ko kaha jaha par tail gir gaya tha. Us jagah par pahunchkar aap ne zameen par apni zor se apni ungli rakhi to tail baahar nikal aaya aur us aurat ne apne bartan me tail bhar liya aur khush hokar apne ghar chali gai.

Is ke baad aap ne khwaab me dekha ki zameen keh rahi hai ki tum ne is tarah dabaakar mujhe taklif di hai.
Ye khwab baar baar dekhkar aap be-chain aur ranjeeda rehne lage.

Phir aap apni waalida ki ijaazat lekar apne bhai ke saath Bukhara chhodkar nikal gaye. Safar karte hue jab aap Hindustan me Mumbai pahunche to aap ne yahi qayaam karne ka faisla kiya aur apne bhai ko waapas bhej diya aur us ke saath apni waalida ko khat likhkar apna faisla bataaya aur un ki maafi maangi.

Phir aap kai saal tak wahi par rehkar ibaadate ilaahi aur isha’at e Islaam karte rahe aur logo ko taaleem dete rahe.

******
Aqwaal :
‾‾‾‾‾‾‾
(1) ALLĀH ta’ala se darte raho phir tumhe kisi cheez ka khuf nahi rahega.
(2) Zindagi ke din baadalo ki tarah guzar jaate hain. Lihaaza jab tak zindagi hai neki karte raho.

******
Makka ki jaanib safar ke dauran aap ka wisaal hua.
Wisaal se pehle aap ne apne saathiyo ko wasiyat ki thi ke Mujhe kafan pehnakar mere jism ko ek sandook me rakhkar samundar me baha dena. Jaha par meri mayyat pahunchegi waha ke log mujhe dafn karenge.
Is tarah aap Hindustan ke samundar kinaare pahunche aur aap ko wahi par samundar ke bich me pahadi par dafn kiya gaya.

******
Aap ka mazaar Mumbai ke Worli ilaake me samundar ke bich me hai.

834 Hijri (1431 A.D.) me Haji Usmaan Rangikar ne aap ki Dargaah aur Masjid ki taameer ki.

Aap ka Urs 16 Rabi’ us saani ko manaya jaata hai.

***
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Aur Hazrat Haaji Ali Shah Bukhari rahmatullāhi alaihi aur Tamaam Aulia Allah ke waseele se
Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kamyabi ata farmae aur Sab ki nek jaaiz murado ko puri farmae.
Aameen.